jinki aankhein aansu se nam nahi,
kya samajhte ho use koi gum nahi.
tum tadapke ro diye to kya hua,
gum chhupake hasne wala bhi kuch kam nahi
Kabhie toh ye dil zaroor rota hai
jab koi aapna milkar nazron se door hota hai
kyu roti hai kambhaqt ye aankhen
dil se zyaada kasoor toh kismat ka hota hai.....
Hamare dil mein dhadkhan sunai deti hai
aankho mein surat aapki dikhai deti hai
chalet toh hum bhi hai
jab mudte hai toh parchhai bhi aapki hi dikhai deti hai
Hume apne dil main basaye rakhna
humari yaadon k chirag jalaye rakhna
bahut lamba hai safar zindagi ka
ek hissa hume bhi banaye rakhna
Phool se pehle khusboo ko to dekho,
Karne se pehle kaam ko to dekho,
Kisike roop mein diwana naa bano,
Surat se pehle uske dil ko to dekho....
Woh Dil hi kya jo tere milne ki dua na kare,
Main tujhe bhool ke zinda rahoon khuda na kare,
Rahega tera pyar sath zindagi bankar,
Yeh baat aur hai ke meri Zindagi wafa na kare..!!
Aankhon Mein Aansu Aa Jaate Hai,
Phir Bhi Labon Pe Hansi Rakhni Padti Hai,
Yeh Mohabbat Bhi Kya Cheez Hai Yaaro,
Jise Chahte Hai Ussi Se Chhupaani Padti Hai..!!
Aankhon Ki Zuban Woh Samajh Nahi Paate,
Honth Magar Kuch Keh Nahi Paate,
Apni Bebasi Kis Tarha Kahe Hum,
Koi Hai JisKe Bina Hum Reh Nahi Paate..!!
Dil Hi Dil Mein Hum UnSe Pyaar Karte Hai,
Chup-Chap Unki Mahobbat Ka Intezaar Karte Hai,
Jin Raho Par UnKa Chalna Mushkil Hai,
UnHi Rahon Pe Hum UnKa Intezaar Karte Hai..!!
Badal gayi lehron ki gaati,
Paani joro se uchhal raha hai,
Humare ashko ki kya aukaat,
Janab aapki yaad mein samundar bhi ro raha hai..!!
No comments:
Post a Comment